Saturday 17 September 2016

ZINDAGI






Aaj kuch shan fir se tham jaye,
Zindagi se mukhtasar hone ka waqt mil jaye.

Bahut aage badh chuki h,
Kuch yaadien bhi bhool chuki h ye.

Ab na jaane kis modh par rukegi,
Na jaane ab kis se iqtebaal karegi  .  

Gum hogaya h wo khilkhilana, 
 Kaha kho gaya wo muskurana.

Noor   se ab baatien kam hoti h,
Chittiyon main ab  guftagu    kaha hoti hain.

Aaj fir se wo kagaaz ki mehak yaad ai hain,
Par apne saath wo ehsaas kahi bhool ai h.

Sooni padi hain ped ki daali,
Rassiyo main latki hain bachpan ki nishaani.

    Aaj ye waqt fir se tham jaye,
Zindagi se mukhtasar hone ka gaaz kia jaye.

No comments:

Post a Comment