Saturday 17 September 2016

 

   SHOR


 Aaj fir se ghar main shor goonja hain.
Suna h kisi shishu ne kadam rakha h.

Ab athkheliyon ki dhun main nachega sansaar,
Ayegi dunia karne uska satkar.
hain chanchal shishu, khwaishe hazaar,
Man marzi se jeete ,jeevan ki ye raar.
Hansi h chanchal, nahi h baal,
Khaane k liye chaiye inhe gudiya ke baal.
Nahi hain akal, nahin hain daant,
Bas  koi sunane ke liye chaiye apni baat .
Udh jaane ki icha hain is vyom main,
Kho jaane ki icha hain is vyog se.

Khara hua hain apne pairo par shishu nadaan,
laathi ka sahara liye chal padha ye insaan.
Aaj firse ungli pakadkar chalne ko hain tayyar,
Aaj fir girke uthne ko hain tayyar.

Aaj fir ghar main shor goonja h,
Suna hain kisi shishu ne akhiri kadam rakha hain.
    

No comments:

Post a Comment