Saturday 17 September 2016

ZINDAGI






Aaj kuch shan fir se tham jaye,
Zindagi se mukhtasar hone ka waqt mil jaye.

Bahut aage badh chuki h,
Kuch yaadien bhi bhool chuki h ye.

Ab na jaane kis modh par rukegi,
Na jaane ab kis se iqtebaal karegi  .  

Gum hogaya h wo khilkhilana, 
 Kaha kho gaya wo muskurana.

Noor   se ab baatien kam hoti h,
Chittiyon main ab  guftagu    kaha hoti hain.

Aaj fir se wo kagaaz ki mehak yaad ai hain,
Par apne saath wo ehsaas kahi bhool ai h.

Sooni padi hain ped ki daali,
Rassiyo main latki hain bachpan ki nishaani.

    Aaj ye waqt fir se tham jaye,
Zindagi se mukhtasar hone ka gaaz kia jaye.
 

   SHOR


 Aaj fir se ghar main shor goonja hain.
Suna h kisi shishu ne kadam rakha h.

Ab athkheliyon ki dhun main nachega sansaar,
Ayegi dunia karne uska satkar.
hain chanchal shishu, khwaishe hazaar,
Man marzi se jeete ,jeevan ki ye raar.
Hansi h chanchal, nahi h baal,
Khaane k liye chaiye inhe gudiya ke baal.
Nahi hain akal, nahin hain daant,
Bas  koi sunane ke liye chaiye apni baat .
Udh jaane ki icha hain is vyom main,
Kho jaane ki icha hain is vyog se.

Khara hua hain apne pairo par shishu nadaan,
laathi ka sahara liye chal padha ye insaan.
Aaj firse ungli pakadkar chalne ko hain tayyar,
Aaj fir girke uthne ko hain tayyar.

Aaj fir ghar main shor goonja h,
Suna hain kisi shishu ne akhiri kadam rakha hain.
    
Yaadien


Abhi to kuch din baaki h,school ki yaadein to kabhi nahi jaani h.
 Hain kuch pal ka  intezaar, fir to hum bijhad jyaenge yaar.
   Na rahengi wo class ki masti ,  na rahegi wo  tifiin  ke liye kushti .
Zindagi main dost bahut milenge, par school k dost to kam hi milenge.
Dosto k saath theli ki chai bhi suhani h, par unke bina to zindagi begani h.
Wo teachers ki baat wo teachers ki daant, bahut yaad ayengi agle saal.
Jab roj subah uthke honge tayyar, yad karenge school ka wo pyara sansaar.
Kandho main bag nahin honge, par man karega school jaane ka baar baar.
Yad aegi wo batch aur tie , jisne humari shaan badhai.
Yaad ayenge wo sambhashan wo waad vivad , jisme ab kabhi na le sakungi main bhaag.
Zindagi ke 12 saal kitne sukhad va suhana,
Karlo inko yaad, kabhi na ayenge ye humare paas.
Kabhi na ayenge ye pal wapis, soch k aate h aankho se aansu baar baar.
Raja rammohan Roy academy ka sansar, ab kuch pal k liye h humara awaas.